Waqt bhi Na Jane kaise imteha leta hai..
Har kisko apna pegam zarur deta hai..
Hum Rone ja rahe the bewafai ki vajase..
Or kahi suna ,koi ro raha tha pita k Jane se..
Yahi to waqt ki khubhi hai,har kisiko ko iss se guzarna bhi zaruri hai..
Waqt bhi Na Jane kaise imteha leta hai..
Har kisi Ko apna pegam zarur deta hai..
Kahi koi kuch pana chahta hai,par duniya ki nazaro se ghira hua hai..
Or kisine ne sab kuch pa liya hai,par apni nazaro me gira hua he..
Waqt bhi Na Jane kaise imteha leta hai..
Har kisi Ko apna pegam zarur deta hai..
Kisi Ko raat me sadak dikhata hai,to kisko kotha..
Kisi ko Manzil dilata hai to kisi Ko sirf Manzil pane ki chah ko kahani banata hai…
Waqt bhi Na Jane kaise imteha leta hai..
Har kisi Ko apna pegam zarur deta hai..
Waqt ki kimat samaj aai jab Dil ne sath choda..
Warna waqt to jaan hi le chodta..
Kehte he pyar pe kitna bhi likh lo kum he,kehte he life ko kitna bhi samaj lo kum hai.
Kabhi waqt pe likhne betho,waqt hi kum padega..
Har mod pe ek naya pehlu milega..
Or afsoa hoga jab uss pehlu me aap nhi hoge..
Isiliye to kehta hu..
Waqt bhi na Jane kaise imteha leta hai…
Har kisi Ko apna pegam zarur deta hai.